udas banjar dikhai degi
udaas banjar dikhā.ī degī
zamīn patthar dikhā.ī degī
nadī chaḌhāo pe aa to jaa.e
khulā samundar dikhā.ī degī
abhī vo khiḌkī se jhāñktī hai
abhī vo chhat par dikhā.ī degī
kiran ujāle kī dekhnā ab
chamaktā ḳhanjar dikhā.ī degī
ġhamoñ ke chehre mileñge aksar
ḳhushī to pal-bhar dikhā.ī degī
udas banjar dikhai degi
zamin patthar dikhai degi
nadi chaDhao pe aa to jae
khula samundar dikhai degi
abhi wo khiDki se jhankti hai
abhi wo chhat par dikhai degi
kiran ujale ki dekhna ab
chamakta KHanjar dikhai degi
ghamon ke chehre milenge aksar
KHushi to pal-bhar dikhai degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.