udas dhup se rishta bahaal karne mein
udaas dhuup se rishta bahāl karne meñ
daraḳht suukh ga.e ye kamāl karne meñ
har ek baar ġhamoñ kā mizāj badlā thā
ḳhushī se aañkh milā kar malāl karne meñ
hamārā dil bhī rahā zimmedār maan liyā
tumheñ kyoñ vaqt lagā isti.māl karne meñ
badan kī aañch saroñ par uThānī paḌtī hai
kisī charāġh se ḳhud ko mash.al karne meñ
adhūrī ḳhvāhisheñ ġhazloñ meñ Dhal ga.iiñ merī
ik aarzū ko mukammal ḳhayāl karne meñ
havā se rābta karnā paḌā sharāroñ ko
siyāh rañg ko aksar gulāl karne meñ
qusūr-vār to the hī vo be-adab bhī the
sazā.eñ bhuul ga.e jo savāl karne meñ
udas dhup se rishta bahaal karne mein
daraKHt sukh gae ye kamal karne mein
har ek bar ghamon ka mizaj badla tha
KHushi se aankh mila kar malal karne mein
hamara dil bhi raha zimmedar man liya
tumhein kyon waqt laga istimal karne mein
badan ki aanch saron par uThani paDti hai
kisi charagh se KHud ko mashal karne mein
adhuri KHwahishen ghazlon mein Dhal gain meri
ek aarzu ko mukammal KHayal karne mein
hawa se rabta karna paDa shararon ko
siyah rang ko aksar gulal karne mein
qusur-war to the hi wo be-adab bhi the
sazaen bhul gae jo sawal karne mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.