udas hai meri duniya sukut zinda hai
udaas hai mirī duniyā sukūt zinda hai
ilāhī mujh meñ ye kaisā sukūt zinda hai
na koī shor na halchal hai qulzum-e-jāñ meñ
ki ek umr se gahrā sukūt zinda hai
koī tapāk na jazba na valvala na ḳhulūs
ye aaj rishtoñ meñ kaisā sukūt zinda hai
'ajab nahīñ koī tūfān aane vaalā ho
ki shaam se lab-e-dariyā sukūt zinda hai
na koī guuñj lahū meñ na dhaḌkanoñ kī sadā
ye merī zaat meñ kaisā sukūt zinda hai
udas hai meri duniya sukut zinda hai
ilahi mujh mein ye kaisa sukut zinda hai
na koi shor na halchal hai qulzum-e-jaan mein
ki ek umr se gahra sukut zinda hai
koi tapak na jazba na walwala na KHulus
ye aaj rishton mein kaisa sukut zinda hai
'ajab nahin koi tufan aane wala ho
ki sham se lab-e-dariya sukut zinda hai
na koi gunj lahu mein na dhaDkanon ki sada
ye meri zat mein kaisa sukut zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.