udas honTon se utni hansi nikalti hai
udaas hoñToñ se utnī hañsī nikaltī hai
ki taptī ret se jitnī namī nikaltī hai
vo jab bhī raat ko chhat par Tahalne jaatā hai
bahut jhijhakte hue chāñdnī nikaltī hai
mujhe sukūñ nahīñ detī haiñ ab tirī yādeñ
ab in diyoñ se bahut tīrgī nikaltī hai
hamārī aañkh meñ ḳhushiyāñ talāshne vaale
kabhī bhī ret se kyā jal-parī nikaltī hai
ye ek chashma kabhī sūkhtā nahīñ 'sarmad'
hamārī aañkh hamesha bharī nikaltī hai
udas honTon se utni hansi nikalti hai
ki tapti ret se jitni nami nikalti hai
wo jab bhi raat ko chhat par Tahalne jata hai
bahut jhijhakte hue chandni nikalti hai
mujhe sukun nahin deti hain ab teri yaaden
ab in diyon se bahut tirgi nikalti hai
hamari aankh mein KHushiyan talashne wale
kabhi bhi ret se kya jal-pari nikalti hai
ye ek chashma kabhi sukhta nahin 'sarmad'
hamari aankh hamesha bhari nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.