udas kyon hai koi aasra nahin hai kya
udaas kyoñ hai koī aasrā nahīñ hai kyā
agar koī bhī nahīñ hai ḳhudā nahīñ hai kyā
ye be-gunāhoñ kī lāsheñ savāl kartī haiñ
sharāfatoñ kā zamāna rahā nahīñ hai kyā
mire qalam kā ḳharīdār ban ke niklā hai
amīr-e-shahr mujhe jāntā nahīñ hai kyā
khile haiñ arz-e-vatan par mohabbatoñ ke gulāb
ye ḳhvāb bārhā dekhā huā nahīñ hai kyā
phir ek baar safar ke liye kamar bāñdho
jo kho ga.e haiñ unheñ DhūñDhnā nahīñ hai kyā
sunā hai ab bhī vo tanhā.iyoñ meñ rotī hai
to merī yaad kā sūraj bujhā nahīñ hai kyā
maiñ tujh se ai mire parvardigār kyā māñgūñ
jo merā haal hai tujh par khulā nahīñ hai kyā
udas kyon hai koi aasra nahin hai kya
agar koi bhi nahin hai KHuda nahin hai kya
ye be-gunahon ki lashen sawal karti hain
sharafaton ka zamana raha nahin hai kya
mere qalam ka KHaridar ban ke nikla hai
amir-e-shahr mujhe jaanta nahin hai kya
khile hain arz-e-watan par mohabbaton ke gulab
ye KHwab barha dekha hua nahin hai kya
phir ek bar safar ke liye kamar bandho
jo kho gae hain unhen DhunDhna nahin hai kya
suna hai ab bhi wo tanhaiyon mein roti hai
to meri yaad ka suraj bujha nahin hai kya
main tujh se ai mere parwardigar kya mangun
jo mera haal hai tujh par khula nahin hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.