udas raat ko mahkaen koi chaara karen
udaas raat ko mahkā.eñ koī chārā kareñ
ḳhayāl-e-yār ko ḳhushbū kā isti.ārā kareñ
balā kī tīrgī hai chashm-e-māh ko socheñ
shuā-e-ḳhvāb tarah-dār ko sitārā kareñ
mahak rutoñ kī bulā.e tasarrufoñ kī taraf
kaTīle taar magar aur hī ishārā kareñ
ḳhizāñ ke din kisī piile pahāḌ jaise din
shaguft gul tirī ummīd par guzārā kareñ
hamāre ishq ke surḳhāb par vo itrā.e
havās-jāñ meñ ham us kī nazar utārā kareñ
tirā hī naam nikaltā hai har tarīqe se
kisī bhī tarah mohabbat kā istiḳhārā kareñ
ye dasht-o-ḳhār ye shahr-o-gulāb sab tere
shabāna roz tire lutf ko nihārā kareñ
udas raat ko mahkaen koi chaara karen
KHayal-e-yar ko KHushbu ka istiara karen
bala ki tirgi hai chashm-e-mah ko sochen
shua-e-KHwab tarah-dar ko sitara karen
mahak ruton ki bulae tasarrufon ki taraf
kaTile tar magar aur hi ishaara karen
KHizan ke din kisi pile pahaD jaise din
shaguft gul teri ummid par guzara karen
hamare ishq ke surKHab par wo itrae
hawas-jaan mein hum us ki nazar utara karen
tera hi nam nikalta hai har tariqe se
kisi bhi tarah mohabbat ka istiKHara karen
ye dasht-o-KHar ye shahr-o-gulab sab tere
shabana roz tere lutf ko nihaara karen
- Book : Sadaa-e-aabju (Pg. 81)
- Author : Arshad Abdul Hameed
- Publication : Arshad Abdul Hameed (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.