udas raaten udas mausam rula rahe the to tum kahan the
udas raaten udas mausam rula rahe the to tum kahan the
Arpit Sharma Arpit
MORE BYArpit Sharma Arpit
udaas rāteñ udaas mausam rulā rahe the to tum kahāñ the
hamāre zaḳhmoñ ko ham hī marham lagā rahe the to tum kahāñ the
bichhaḌ rahe the jo ham se tum yuuñ suno ye bīnā.ī ghaT rahī thī
ham ek muddat se ḳhāk-e-sahrā uḌā rahe the to tum kahāñ the
har ek qatra hī le rahā thā ye naam terā udaas shab meñ
hamāre aañsū ye haal dil kā sunā rahe the to tum kahāñ the
hameñ bulāne ab aa rahe ho jo koh-o-sahrā ke ho ga.e ham
vo sard rāteñ judā.ī ke ġham satā rahe the to tum kahāñ the
bichhaḌ rahe ho to jism se tum nikāl pheñkūñ ye ruuh merī
tamām rāteñ hī jaag kar yuuñ bulā rahe the to tum kahāñ the
tumhārī yādoñ kā saarā dariyā ye saarī kashtī ye saare mausam
ubalte ashkoñ se saarā dukh jab batā rahe the to tum kahāñ the
hameñ ḳhizāñ raas aa ga.ī hai to ab bahāroñ kā kyā kareñge
ham apnī tanhā.ī duur karne bulā rahe the to tum kahāñ the
tamām shab intizār karnā falak ke taare shumār karnā
ġham-e-judā.ī meñ jashn-e-furqat manā rahe the to tum kahāñ the
batāo 'arpit' purānī bātoñ ko yaad kar ke hai kaisā ronā
tamām hī 'umr yaad mujh ko tum aa rahe the to tum kahāñ the
udas raaten udas mausam rula rahe the to tum kahan the
hamare zaKHmon ko hum hi marham laga rahe the to tum kahan the
bichhaD rahe the jo hum se tum yun suno ye binai ghaT rahi thi
hum ek muddat se KHak-e-sahra uDa rahe the to tum kahan the
har ek qatra hi le raha tha ye nam tera udas shab mein
hamare aansu ye haal dil ka suna rahe the to tum kahan the
hamein bulane ab aa rahe ho jo koh-o-sahra ke ho gae hum
wo sard raaten judai ke gham sata rahe the to tum kahan the
bichhaD rahe ho to jism se tum nikal phenkun ye ruh meri
tamam raaten hi jag kar yun bula rahe the to tum kahan the
tumhaari yaadon ka sara dariya ye sari kashti ye sare mausam
ubalte ashkon se sara dukh jab bata rahe the to tum kahan the
hamein KHizan ras aa gai hai to ab bahaaron ka kya karenge
hum apni tanhai dur karne bula rahe the to tum kahan the
tamam shab intizar karna falak ke tare shumar karna
gham-e-judai mein jashn-e-furqat mana rahe the to tum kahan the
batao 'arpit' purani baaton ko yaad kar ke hai kaisa rona
tamam hi 'umr yaad mujh ko tum aa rahe the to tum kahan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.