udas rahna bhi ek kala hai udas rahiye
udaas rahnā bhī ek kalā hai udaas rahiye
kisī kisī ko ye fan milā hai udaas rahiye
kahā thā ham ne nahīñ sunegā ḳhushī kī mannat
nahīñ sunegā ḳhudā ḳhudā hai udaas rahiye
hamāre hote bhī mas.aloñ kī talāsh kyoñ hai
hamārā honā hī mas.ala hai udaas rahiye
likhā hai us ne mujhe bhulā kar ḳhushī se rahnā
vo shaḳhs kahnā ye chāhtā hai udaas rahiye
khilā.e rakhiye har ek rut meñ gul-e-udāsī
firāq kyā hai visāl kyā hai udaas rahiye
udas rahna bhi ek kala hai udas rahiye
kisi kisi ko ye fan mila hai udas rahiye
kaha tha hum ne nahin sunega KHushi ki mannat
nahin sunega KHuda KHuda hai udas rahiye
hamare hote bhi masalon ki talash kyon hai
hamara hona hi masala hai udas rahiye
likha hai us ne mujhe bhula kar KHushi se rahna
wo shaKHs kahna ye chahta hai udas rahiye
khilae rakhiye har ek rut mein gul-e-udasi
firaq kya hai visal kya hai udas rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.