udas rahne ki aadaton ka shikar ho kar
udaas rahne kī ādatoñ kā shikār ho kar
tū rah na jaanā ai zindagī tār-tār ho kar
faqat sharāboñ ke aasre kaT rahe haiñ din-rāt
utar chukā ham ko aur to har ḳhumār ho kar
ham apne hone kī ḳhush-gumānī meñ chuur the jab
guzar ga.ī ham se yād-e-parvardigār ho kar
ye be-yaqīnī hai aadmī tak to Thiik lekin
maiñ rah na jā.ūñ ḳhudā se be-e'tibār ho kar
maiñ kab se qaid-e-vajūd meñ ghuT rahā huuñ lekin
mujhe sukūñ bhī nahīñ hai ḳhud se farār ho kar
vo bhole-pan ko pahan ke phirtā hai is jahāñ meñ
tum us se milnā to bas zarā hoshiyār ho kar
vo kaam jis kī hameñ tavaqqo thī dushmanoñ se
amal meñ kuchh log laa.e to haiñ pa yaar ho kar
abhī to un ko fazā meñ har samt thā mahaknā
jo ḳhushbueñ rah ga.iiñ supurd-e-ġhubār ho kar
'amar' kahīñ khul na jaa.e hālat sukūn-e-dil kī
milo har ik shaḳhs se baḌe be-qarār ho kar
udas rahne ki aadaton ka shikar ho kar
tu rah na jaana ai zindagi tar-tar ho kar
faqat sharabon ke aasre kaT rahe hain din-raat
utar chuka hum ko aur to har KHumar ho kar
hum apne hone ki KHush-gumani mein chur the jab
guzar gai hum se yaad-e-parwardigar ho kar
ye be-yaqini hai aadmi tak to Thik lekin
main rah na jaun KHuda se be-e'tibar ho kar
main kab se qaid-e-wajud mein ghuT raha hun lekin
mujhe sukun bhi nahin hai KHud se farar ho kar
wo bhole-pan ko pahan ke phirta hai is jahan mein
tum us se milna to bas zara hoshiyar ho kar
wo kaam jis ki hamein tawaqqo thi dushmanon se
amal mein kuchh log lae to hain pa yar ho kar
abhi to un ko faza mein har samt tha mahakna
jo KHushbuen rah gain supurd-e-ghubar ho kar
'amar' kahin khul na jae haalat sukun-e-dil ki
milo har ek shaKHs se baDe be-qarar ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.