udas rut ke Thaharne ka dukh samajhte ho
udaas rut ke Thaharne kā dukh samajhte ho
chalo ki tum bhī bikharne kā dukh samajhte ho
sunā to duuñ tumheñ qissa mirī mohabbat kā
ik ek zaḳhm ubharne kā dukh samajhte ho
kisī ko sar pe biThāyā hai kyā kabhī tum ne
kisī ke dil se utarne kā dukh samajhte ho
tamām rāste jin par chale the ham donoñ
ab un se tanhā guzarne kā dukh samajhte ho
hasīñ libās meñ bhī ḳhush nahīñ hai vo dul.han
baġhair marzī sañvarne kā dukh samajhte ho
udas rut ke Thaharne ka dukh samajhte ho
chalo ki tum bhi bikharne ka dukh samajhte ho
suna to dun tumhein qissa meri mohabbat ka
ek ek zaKHm ubharne ka dukh samajhte ho
kisi ko sar pe biThaya hai kya kabhi tum ne
kisi ke dil se utarne ka dukh samajhte ho
tamam raste jin par chale the hum donon
ab un se tanha guzarne ka dukh samajhte ho
hasin libas mein bhi KHush nahin hai wo dulhan
baghair marzi sanwarne ka dukh samajhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.