udas sham bahut der tak rulaegi
udaas shaam bahut der tak rulā.egī
phir us ke ba.ad koī aañkh jhilmilā.e gī
ajiib ashk thā jo gaal thapthapātā rahā
ajiib aañkh hai ki hijr bhī manā.egī
maiñ us ke hoñT banā.ūñgā apnī marzī se
isī bahāne laboñ par hañsī to aa.egī
badan kī shaal pe us ne gulāb kāḌhe haiñ
maiñ is ko oḌhūñgā to us kī ḳhushbū aa.egī
havā ke kaan bhare haiñ isī liye maiñ ne
mujhe pata hai use jā ke sab batā.egī
udas sham bahut der tak rulaegi
phir us ke baad koi aankh jhilmilae gi
ajib ashk tha jo gal thapthapata raha
ajib aankh hai ki hijr bhi manaegi
main us ke honT banaunga apni marzi se
isi bahane labon par hansi to aaegi
badan ki shaal pe us ne gulab kaDhe hain
main is ko oDhunga to us ki KHushbu aaegi
hawa ke kan bhare hain isi liye main ne
mujhe pata hai use ja ke sab bataegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.