udas sham ki tanhaiyon mein jalta hua
udaas shaam kī tanhā.iyoñ meñ jaltā huā
vo kaash aa.e kabhī mere paas chaltā huā
shab-e-firāq ne mismār saare ḳhvāb kiye
koī to muzhda sunā.e ye din nikaltā huā
hai kyā ajab ki kabhī chāñd bhī añdheroñ meñ
sukūñ talāsh kare zāviye badaltā huā
mire masīhā ḳhudā aaj terā rakkhe bharam
nazar mujhe nahīñ aatā ye jī bahaltā huā
maiñ raushnī ke nagar meñ paḌāv ḳhaak karūñ
Darā rahā hai mujhe apnā saaya Dhaltā huā
udas sham ki tanhaiyon mein jalta hua
wo kash aae kabhi mere pas chalta hua
shab-e-firaq ne mismar sare KHwab kiye
koi to muzhda sunae ye din nikalta hua
hai kya ajab ki kabhi chand bhi andheron mein
sukun talash kare zawiye badalta hua
mere masiha KHuda aaj tera rakkhe bharam
nazar mujhe nahin aata ye ji bahalta hua
main raushni ke nagar mein paDaw KHak karun
Dara raha hai mujhe apna saya Dhalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.