udas tum hi nahin ho hayat hai shayad
udaas tum hī nahīñ ho hayāt hai shāyad
thakī thakī se kahīñ kā.enāt hai shāyad
rukī rukī sī ye sāñseñ jhukī jhukī sī nigāh
us ek baat meñ ik aur baat hai shāyad
maiñ tum ko jiit rahā huuñ tumheñ patā hī nahīñ
ye aur baat ki merī hī maat hai shāyad
kahāñ kā ishq magar us ko kaun samjhā.e
parī-ḳhisāl farishta-sifāt hai shāyad
zamīn jaagī huī hai zamāna jaagā huā
ki aaj raat koī vārdāt hai shāyad
har ek gaam pe raushan karo diye se diyā
tulū-e-sub.h se pahle najāt hai shāyad
abhī to sham.a se shabnam banegī aañkh 'sanā'
abhī to ek pahar aur raat hai shāyad
udas tum hi nahin ho hayat hai shayad
thaki thaki se kahin kaenat hai shayad
ruki ruki si ye sansen jhuki jhuki si nigah
us ek baat mein ek aur baat hai shayad
main tum ko jit raha hun tumhein pata hi nahin
ye aur baat ki meri hi mat hai shayad
kahan ka ishq magar us ko kaun samjhae
pari-KHisal farishta-sifat hai shayad
zamin jagi hui hai zamana jaga hua
ki aaj raat koi wardat hai shayad
har ek gam pe raushan karo diye se diya
tulu-e-subh se pahle najat hai shayad
abhi to shama se shabnam banegi aankh 'sana'
abhi to ek pahar aur raat hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.