udas udas hai baad-e-sahar nahin malum

udas udas hai baad-e-sahar nahin malum
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
udaas udaas hai bād-e-sahar nahīñ mā'lūm
kahāñ kahāñ se huā hai guzar nahīñ mā'lūm
na rakh sakā sar-e-mahfil vo aabrū kā bharam
ki pāsdārī-e-'arz-e-hunar nahīñ mā'lūm
chalā thā dil meñ liye ik navā-e-shauq magar
kidhar safar hai kidhar ham-safar nahīñ mā'lūm
machī hai dhuum mire shahr se nikalne kī
kahāñ se nashr huī ye ḳhabar nahīñ mā'lūm
hujūm-e-ġham ne sañvārā hai shab kī dul.han ko
ki kis tarah se huī shab basar nahīñ mā'lūm
jahāñ-jahāñ vo mile aañkh un kī bhar aa.ī
ye kyoñ udhar bhī huā hai asar nahīñ mā'lūm
huā jo zulf-e-girah-gīr kā asiir 'adīb'
kahāñ hai shaam kahāñ hai sahar nahīñ mā'lūm
udas udas hai baad-e-sahar nahin ma'lum
kahan kahan se hua hai guzar nahin ma'lum
na rakh saka sar-e-mahfil wo aabru ka bharam
ki pasdari-e-'arz-e-hunar nahin ma'lum
chala tha dil mein liye ek nawa-e-shauq magar
kidhar safar hai kidhar ham-safar nahin ma'lum
machi hai dhum mere shahr se nikalne ki
kahan se nashr hui ye KHabar nahin ma'lum
hujum-e-gham ne sanwara hai shab ki dulhan ko
ki kis tarah se hui shab basar nahin ma'lum
jahan-jahan wo mile aankh un ki bhar aai
ye kyon udhar bhi hua hai asar nahin ma'lum
hua jo zulf-e-girah-gir ka asir 'adib'
kahan hai sham kahan hai sahar nahin ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.