udas udas tabiat jo thi bahalne lagi
udaas udaas tabī.at jo thī bahalne lagī
abhī maiñ ro hī rahā thā ki rut badalne lagī
paḌos vālo! darīchoñ ko mat khulā chhoḌo
tumhāre ghar se bahut raushnī nikalne lagī
zarā thame the ki phir ho ga.e ravāñ aañsū
jo ruk ga.ī thī vo ġham kī barāt chalne lagī
bhalā ho shahr ke logoñ kī ḳhush-libāsī kā
ki be-kasī bhī mirā pairahan badalne lagī
Thahar ga.ī hai kahāñ aa ke Dhalte Dhalte raat
mirī nazar bhī charāġhoñ ke saath jalne lagī
nazar uThī to añdherā thā jab qadam uTThe
shuā-e-mahr mire saath saath chalne lagī
sitam-zarīfī-e-fitrat to dekhiye 'az.har'
shabāb aayā ġhazal par to umr Dhalne lagī
udas udas tabiat jo thi bahalne lagi
abhi main ro hi raha tha ki rut badalne lagi
paDos walo! darichon ko mat khula chhoDo
tumhaare ghar se bahut raushni nikalne lagi
zara thame the ki phir ho gae rawan aansu
jo ruk gai thi wo gham ki baraat chalne lagi
bhala ho shahr ke logon ki KHush-libasi ka
ki be-kasi bhi mera pairahan badalne lagi
Thahar gai hai kahan aa ke Dhalte Dhalte raat
meri nazar bhi charaghon ke sath jalne lagi
nazar uThi to andhera tha jab qadam uTThe
shua-e-mahr mere sath sath chalne lagi
sitam-zarifi-e-fitrat to dekhiye 'azhar'
shabab aaya ghazal par to umr Dhalne lagi
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 222)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.