udasi aa rahi hai chupke-chupke
udāsī aa rahī hai chupke-chupke
ḳhamoshī chhā rahī hai chupke-chupke
mire dil meñ dabe kuchh qahqahoñ ko
ḳhamoshī khā rahī hai chupke-chupke
mirī hālat pe kuchh din se hañsī ab
tumheñ bhī aa rahī hai chupke-chupke
ġhamoñ kā bojh baḌhtā jā rahā hai
ḳhushī bhī jā rahī hai chupke-chupke
ujaḌtā jā rahā hai dil kā gulshan
kalī murjhā rahī hai chupke-chupke
udasi aa rahi hai chupke-chupke
KHamoshi chha rahi hai chupke-chupke
mere dil mein dabe kuchh qahqahon ko
KHamoshi kha rahi hai chupke-chupke
meri haalat pe kuchh din se hansi ab
tumhein bhi aa rahi hai chupke-chupke
ghamon ka bojh baDhta ja raha hai
KHushi bhi ja rahi hai chupke-chupke
ujaDta ja raha hai dil ka gulshan
kali murjha rahi hai chupke-chupke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.