udasi ke jazire par ghamon ke sae gahre hain
udāsī ke jazīre par ġhamoñ ke saa.e gahre haiñ
nigāhoñ ke samundar meñ lahū-rañg ashk Thahre haiñ
kahīñ tanhā.iyoñ ne vahshatoñ se dostī kar lī
kahīñ dil par guzishta mausamoñ ke ab bhī pahre haiñ
kahīñ barkhā kī rut ne dil kī duniyā ḳhuuñ meñ nahlā dī
kahīñ vīrān rāhoñ par qadam sadiyoñ se Thahre haiñ
sajāyā hai kahīñ āñkhoñ ne ḳhud ko māh-o-anjum se
isī ummīd par ki aane vaale din sunahre haiñ
bharosā kar to luuñ lekin batāo kis pe karnā hai
ki har chehre ke pīchhe hī na jaane kitne chehre haiñ
udasi ke jazire par ghamon ke sae gahre hain
nigahon ke samundar mein lahu-rang ashk Thahre hain
kahin tanhaiyon ne wahshaton se dosti kar li
kahin dil par guzishta mausamon ke ab bhi pahre hain
kahin barkha ki rut ne dil ki duniya KHun mein nahla di
kahin viran rahon par qadam sadiyon se Thahre hain
sajaya hai kahin aankhon ne KHud ko mah-o-anjum se
isi ummid par ki aane wale din sunahre hain
bharosa kar to lun lekin batao kis pe karna hai
ki har chehre ke pichhe hi na jaane kitne chehre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.