udasi KHatm ho jae agar tum milne aa jao
udāsī ḳhatm ho jaa.e agar tum milne aa jaao
merā har zaḳhm so jaa.e agar tum milne aa jaao
shab-e-hijrāñ ke māthe par savere phir se raushan hoñ
ye rut gajre piro jaa.e agar tum milne aa jaao
tumhāre qurb ke lamhe mayassar ham ko aa jaa.eñ
ye dil rañgoñ meñ kho jaa.e agar tum milne aa jaao
sitārā baḳht kā apnā bulandī par nazar aa.e
zamīñ ākāsh ho jaa.e agar tum milne aa jaao
havāoñ meñ basī phūloñ kī dil-āvez ye ḳhushbū
mire dil meñ samo jaa.e agar tum milne aa jaao
kaḌaktī dhuup hai sar par bhalā inkār ye kab hai
mujhe sāvan bhigo jaa.e agar tum milne aa jaao
udasi KHatm ho jae agar tum milne aa jao
mera har zaKHm so jae agar tum milne aa jao
shab-e-hijran ke mathe par sawere phir se raushan hon
ye rut gajre piro jae agar tum milne aa jao
tumhaare qurb ke lamhe mayassar hum ko aa jaen
ye dil rangon mein kho jae agar tum milne aa jao
sitara baKHt ka apna bulandi par nazar aae
zamin aakash ho jae agar tum milne aa jao
hawaon mein basi phulon ki dil-awez ye KHushbu
mere dil mein samo jae agar tum milne aa jao
kaDakti dhup hai sar par bhala inkar ye kab hai
mujhe sawan bhigo jae agar tum milne aa jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.