udasi muqaddar hai barsat mein
udāsī muqaddar hai barsāt meñ
koī aa.e kaise ḳharābāt meñ
hameñ kyā ḳhabar hai ki din kab huā
rahe munhamik ham munājāt meñ
chalo shaiḳh sāhab se milne chaleñ
dikhāte haiñ kyā kyā karāmāt meñ
sabhī to haiñ maazī meñ kho.e hue
nayā kuchh nahīñ hai ḳhayālāt meñ
vo lamha bhī kis darja saffāk thā
bahā le gayā sab ko jazbāt meñ
na.ī nasl ke mashġhale haiñ ajab
koī farq rakkhā na din-rāt meñ
ye mumkin hai 'aḳhtar' ki vo mah-jabīñ
khule ham se pahlī mulāqāt meñ
udasi muqaddar hai barsat mein
koi aae kaise KHarabaat mein
hamein kya KHabar hai ki din kab hua
rahe munhamik hum munajat mein
chalo shaiKH sahab se milne chalen
dikhate hain kya kya karamat mein
sabhi to hain mazi mein khoe hue
naya kuchh nahin hai KHayalat mein
wo lamha bhi kis darja saffak tha
baha le gaya sab ko jazbaat mein
nai nasl ke mashghale hain ajab
koi farq rakkha na din-raat mein
ye mumkin hai 'aKHtar' ki wo mah-jabin
khule hum se pahli mulaqat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.