udasi ne saman bandha hua hai
udāsī ne samāñ bāñdhā huā hai
ḳhushī ke saath phir dhoka huā hai
mujhe apnī zarūrat paḌ ga.ī hai
mire andar se ab vo jā chukā hai
kahānī se ajab vahshat huī hai
mirā kirdār jab puḳhta huā hai
maiñ har dar par sadā.eñ de rahā huuñ
koī āvāz de kar chhup gayā hai
udasi ne saman bandha hua hai
KHushi ke sath phir dhoka hua hai
mujhe apni zarurat paD gai hai
mere andar se ab wo ja chuka hai
kahani se ajab wahshat hui hai
mera kirdar jab puKHta hua hai
main har dar par sadaen de raha hun
koi aawaz de kar chhup gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.