udasiyan sahar-o-sham ki nahin achchhi
udāsiyāñ sahar-o-shām kī nahīñ achchhī
'jigar' ye ḳhū dil-e-nākām kī nahīñ achchhī
chhalak chale na kahīñ zarf ai dil-e-maḳhmūr
bahut havas mai-e-gulfām kī nahīñ achchhī
unhīñ ko kartī hai be-ḳhānumāñ jo be-ghar haiñ
ravish ye gardish-e-ayyām kī nahīñ achchhī
kisī kī shān-e-taġhāful se hai vaqār-e-nāz
umiid nāma-o-paiġhām kī nahīñ achchhī
sivā.e kashmakash-o-iztirāb kyā hāsil
kured qismat o anjām kī nahīñ achchhī
dil-e-hazīñ na kahīñ ishq bad-gumāñ ho jaa.e
talāsh rāhat-o-ārām kī nahīñ achchhī
kahīñ ye phūloñ ke iimā se hoñ na murġh-e-asīr
shikāyateñ qafas-o-dām kī nahīñ achchhī
'jigar' ye yaad kahīñ zahr ho na jaa.e tumheñ
jo raT lagī hai kisī naam kī nahīñ achchhī
udasiyan sahar-o-sham ki nahin achchhi
'jigar' ye KHu dil-e-nakaam ki nahin achchhi
chhalak chale na kahin zarf ai dil-e-maKHmur
bahut hawas mai-e-gulfam ki nahin achchhi
unhin ko karti hai be-KHanuman jo be-ghar hain
rawish ye gardish-e-ayyam ki nahin achchhi
kisi ki shan-e-taghaful se hai waqar-e-naz
umid nama-o-paigham ki nahin achchhi
siwae kashmakash-o-iztirab kya hasil
kured qismat o anjam ki nahin achchhi
dil-e-hazin na kahin ishq bad-guman ho jae
talash rahat-o-aram ki nahin achchhi
kahin ye phulon ke ima se hon na murgh-e-asir
shikayaten qafas-o-dam ki nahin achchhi
'jigar' ye yaad kahin zahr ho na jae tumhein
jo raT lagi hai kisi nam ki nahin achchhi
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 186)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.