udasiyon ka hamein aasra shurua se hai
udāsiyoñ kā hameñ aasrā shurūa se hai
ye āriza hai to phir āriza shurūa se hai
vo puurā sach hai to us kī gavāhī aadhī kyuuñ
use ḳhudā se yahī to gilā shurūa se hai
kisī ke rañg ke marhūn haiñ na lahje ke
ki ham meñ jo bhī hai achchhā burā shurūa se hai
na tum ne pūchhā kabhī aur na ham ne batlāyā
vagarna ghar kā yahī rāsta shurūa se hai
tumheñ to aaj zamāne ne rad kiyā hai magar
hamāre saath yahī mas.ala shurūa se hai
ḳhudā kā zikr huā hai to yaad aayā hai
hamāre paas to apnā ḳhudā shurūa se hai
hamārī aañkh meñ ik ḳhvāb hai tumhāre liye
magar ye shart hai vo dekhnā shurūa se hai
ham apne apne nasīboñ kī dūriyoñ pe khaḌe
hamāre beach koī fāsla shurūa se hai
udasiyon ka hamein aasra shurua se hai
ye aariza hai to phir aariza shurua se hai
wo pura sach hai to us ki gawahi aadhi kyun
use KHuda se yahi to gila shurua se hai
kisi ke rang ke marhun hain na lahje ke
ki hum mein jo bhi hai achchha bura shurua se hai
na tum ne puchha kabhi aur na hum ne batlaya
wagarna ghar ka yahi rasta shurua se hai
tumhein to aaj zamane ne rad kiya hai magar
hamare sath yahi masala shurua se hai
KHuda ka zikr hua hai to yaad aaya hai
hamare pas to apna KHuda shurua se hai
hamari aankh mein ek KHwab hai tumhaare liye
magar ye shart hai wo dekhna shurua se hai
hum apne apne nasibon ki duriyon pe khaDe
hamare beach koi fasla shurua se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.