udasiyon ka samundar hai tishna-lab ab bhi
udāsiyoñ kā samundar hai tishna-lab ab bhī
ḳhamoshī kal bhī mire ghar meñ thī ajab ab bhī
use to pā liyā maiñ ne baḌe vasūq ke saath
pareshāñ kartī hai phir kaun sī talab ab bhī
chalo ye maan liyā hai qarīb shah-rag se
samajh meñ aatā nahīñ hai mujhe to rab ab bhī
salām karne lagā huuñ maiñ āte-jāte use
javāb hī nahīñ detā vo be-adab ab bhī
ki ab to vasl hai ye hijr bhī nahīñ lekin
chalī hī aatī hai aksar udaas shab ab bhī
udasiyon ka samundar hai tishna-lab ab bhi
KHamoshi kal bhi mere ghar mein thi ajab ab bhi
use to pa liya main ne baDe wasuq ke sath
pareshan karti hai phir kaun si talab ab bhi
chalo ye man liya hai qarib shah-rag se
samajh mein aata nahin hai mujhe to rab ab bhi
salam karne laga hun main aate-jate use
jawab hi nahin deta wo be-adab ab bhi
ki ab to wasl hai ye hijr bhi nahin lekin
chali hi aati hai aksar udas shab ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.