udasiyon ke siwa dil ki zindagi kya hai
udāsiyoñ ke sivā dil kī zindagī kyā hai
koī batā.e ki ḳhvāboñ kī barhamī kyā hai
kabhī chaman se jo guzre chaman se ḳhud pūchhe
sabā mizāj-e-chaman ham se pūchhtī kyā hai
ye tīragi-e-musalsal hazār baar qubūl
magar ye daur charāġhoñ kī raushnī kyā hai
ye ahl-e-dil ki uḌāte haiñ mere ġham kā mazāq
ye be-hisī jo nahīñ hai to be-hisī kyā hai
na pūchh mujh se jo kār-e-savāb meñ hai maza
ye pūchh mujh se gunāhoñ meñ dilkashī kyā hai
mashām-e-jāñ na mo.attar ho jis se vo gul kyā
jo nashsha lā na sake vo sharāb hī kyā hai
nazar se duur hai 'jazbī' savād-e-manzil tak
na jaane zauq-e-talab meñ mire kamī kyā hai
udasiyon ke siwa dil ki zindagi kya hai
koi batae ki KHwabon ki barhami kya hai
kabhi chaman se jo guzre chaman se KHud puchhe
saba mizaj-e-chaman hum se puchhti kya hai
ye tiragi-e-musalsal hazar bar qubul
magar ye daur charaghon ki raushni kya hai
ye ahl-e-dil ki uDate hain mere gham ka mazaq
ye be-hisi jo nahin hai to be-hisi kya hai
na puchh mujh se jo kar-e-sawab mein hai maza
ye puchh mujh se gunahon mein dilkashi kya hai
masham-e-jaan na moattar ho jis se wo gul kya
jo nashsha la na sake wo sharab hi kya hai
nazar se dur hai 'jazbi' sawad-e-manzil tak
na jaane zauq-e-talab mein mere kami kya hai
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.