udasiyon ko gale lagae udas laDke
udāsiyoñ ko gale lagā.e udaas laḌke
bhaTak rahe haiñ fareb khaa.e udaas laḌke
kisī kisī ko nasīb haiñ ye udāsiyāñ bhī
kisī ko ye bhī batā na paa.e udaas laḌke
hazār dukh haiñ diloñ meñ un ke jinheñ chhupā kar
yahāñ sabhī ko hañsāne aa.e udaas laḌke
udaas rahnā sahī nahīñ hai ye jaan kar bhī
udaas rahnā na chhoḌ paa.e udaas laḌke
kisī kā kāñdhā nasīb hotā to ye bhī sote
tamām rāteñ jage jagā.e udaas laḌke
udasiyon ko gale lagae udas laDke
bhaTak rahe hain fareb khae udas laDke
kisi kisi ko nasib hain ye udasiyan bhi
kisi ko ye bhi bata na pae udas laDke
hazar dukh hain dilon mein un ke jinhen chhupa kar
yahan sabhi ko hansane aae udas laDke
udas rahna sahi nahin hai ye jaan kar bhi
udas rahna na chhoD pae udas laDke
kisi ka kandha nasib hota to ye bhi sote
tamam raaten jage jagae udas laDke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.