uDe hain kucha-e-dilbar mein jaan se guzre
uḌe haiñ kūcha-e-dilbar meñ jaan se guzre
ye jaan kyā hai ki donoñ jahān se guzre
agar vo hosh-rubā sar-basar jo ho mahkūm
to hai qasam ki har ik aan maan se guzre
basantī posh karūñ haa.e re maiñ āñkhoñ se
tū zer-e-chashm agar ḳhūñ-fishān se guzre
qasam hai tuj ko chhiḌakvā ke jam hī jāvegā
jo rang qatra-e-āb-e-chakān se guzre
nahīñ ḳhabar tujhe nāseh ki ham ga.e kaañ tak
tire to aql-o-qayās-o-gumān se guzre
maiñ ik kashish meñ pahuñch jā.ūñ yaar tak apne
jo tiir chhūT ke jaisā kamān se guzre
jo chhar-chhaḌā ke dil-e-lā-makāñ kare parvāz
tavaqqo' hai ki navoñ āsmān se guzre
ḳhayāl-e-yār kā tausan hai ḳhush-ḳhirām mirā
ḳhudā kabhī na kare zer-e-rān se guzre
agar nasīb hī ho jaa.e faqr kā mujhe faḳhr
to zindagī mirī kyā izz-o-shān se guzre
suḳhan haiñ halqa-e-misrā meñ jyuuñ dur-e-shahvār
hai ye rijā ki qadar-dāñ ke kaan se guzre
ai 'imtiyāz' tū ho zā.er-e-madīna haram
to kyā surūr-o-ḳhushī aan aan se guzre
uDe hain kucha-e-dilbar mein jaan se guzre
ye jaan kya hai ki donon jahan se guzre
agar wo hosh-ruba sar-basar jo ho mahkum
to hai qasam ki har ek aan man se guzre
basanti posh karun hae re main aankhon se
tu zer-e-chashm agar KHun-fishan se guzre
qasam hai tuj ko chhiDakwa ke jam hi jawega
jo rang qatra-e-ab-e-chakan se guzre
nahin KHabar tujhe naseh ki hum gae kan tak
tere to aql-o-qayas-o-guman se guzre
main ek kashish mein pahunch jaun yar tak apne
jo tir chhuT ke jaisa kaman se guzre
jo chhar-chhaDa ke dil-e-la-makan kare parwaz
tawaqqo' hai ki nawon aasman se guzre
KHayal-e-yar ka tausan hai KHush-KHiram mera
KHuda kabhi na kare zer-e-ran se guzre
agar nasib hi ho jae faqr ka mujhe faKHr
to zindagi meri kya izz-o-shan se guzre
suKHan hain halqa-e-misra mein jyun dur-e-shahwar
hai ye rija ki qadar-dan ke kan se guzre
ai 'imtiyaz' tu ho zaer-e-madina haram
to kya surur-o-KHushi aan aan se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.