uDe hosh bahki nazar nashsha chhaya
uḌe hosh bahkī nazar nashsha chhāyā
vo aa.e ki jām-e-mai-e-nāb aayā
mohabbat hai muflis kī taqsīr shāyad
ise laakh pardoñ meñ 'uryāñ hī paayā
musībat kā ehsān bhūlūñ to kyūñkar
musībat paḌī to ḳhudā yaad aayā
ḳhalish se hai dil meñ taḌap sī hai jaañ meñ
vo aa.e ki jiine kā andāz aayā
ye hai qissa-e-zindagī kā ḳhulāsa
jo paayā vo khoyā jo khoyā na paayā
parastish jo kī to ḳhudī kī parastish
jhukāyā to sar apne aage jhukāyā
shikasta huā dil to kuchh aur nikhrā
shahāb aur bhī Tuut kar jagmagāyā
na samjhe ḳhudī ko na samjhe ḳhudā ko
na jiinā hī aayā na marnā hī aayā
ka.ī baar phūñkā jise bijliyoñ ne
usī shāḳh par āshiyāna banāyā
jahāñ meñ na hañste banī hai na rote
ḳhushī raas aa.ī na ġham raas aayā
javānī ne jab sāz-e-hastī ko chheḌā
zamīñ gungunā.ī falak gungunāyā
zamāne ke dil kī sadā ban ke 'rā'nā'
zamāne ko mere suḳhan ne jagāyā
uDe hosh bahki nazar nashsha chhaya
wo aae ki jam-e-mai-e-nab aaya
mohabbat hai muflis ki taqsir shayad
ise lakh pardon mein 'uryan hi paya
musibat ka ehsan bhulun to kyunkar
musibat paDi to KHuda yaad aaya
KHalish se hai dil mein taDap si hai jaan mein
wo aae ki jine ka andaz aaya
ye hai qissa-e-zindagi ka KHulasa
jo paya wo khoya jo khoya na paya
parastish jo ki to KHudi ki parastish
jhukaya to sar apne aage jhukaya
shikasta hua dil to kuchh aur nikhra
shahab aur bhi Tut kar jagmagaya
na samjhe KHudi ko na samjhe KHuda ko
na jina hi aaya na marna hi aaya
kai bar phunka jise bijliyon ne
usi shaKH par aashiyana banaya
jahan mein na hanste bani hai na rote
KHushi ras aai na gham ras aaya
jawani ne jab saz-e-hasti ko chheDa
zamin gungunai falak gungunaya
zamane ke dil ki sada ban ke 'ra'na'
zamane ko mere suKHan ne jagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.