udhar falak pe koi din nikalne wala tha
udhar falak pe koī din nikalne vaalā thā
idhar ye dil ki udāsī meñ Dhalne vaalā thā
bahā ke le ga.iiñ mujh ko chalo ye maujeñ hī
maiñ ḳhud-kushī kā irāda badalne vaalā thā
vo sub.h-e-'ishq ka.ī ratjagoñ kā hāsil thī
mire nasīb kā sūraj nikalne vaalā thā
tire fareb meñ aanā to merī marzī thī
maiñ jāntā thā tirā husn chhalne vaalā thā
dinoñ ke baa'd baḌā ḳhush-gavār thā mausam
qafas se koī parinda nikalne vaalā thā
maiñ un nigāhoñ se bachne kī kyā du'ā kartā
ye hādsa bhī kabhī sar se Talne vaalā thā
nigāh pher lī us ne hī vaqt par varna
maiñ un charāġh sī āñkhoñ meñ jalne vaalā thā
udhar falak pe koi din nikalne wala tha
idhar ye dil ki udasi mein Dhalne wala tha
baha ke le gain mujh ko chalo ye maujen hi
main KHud-kushi ka irada badalne wala tha
wo subh-e-'ishq kai ratjagon ka hasil thi
mere nasib ka suraj nikalne wala tha
tere fareb mein aana to meri marzi thi
main jaanta tha tera husn chhalne wala tha
dinon ke ba'd baDa KHush-gawar tha mausam
qafas se koi parinda nikalne wala tha
main un nigahon se bachne ki kya du'a karta
ye hadsa bhi kabhi sar se Talne wala tha
nigah pher li us ne hi waqt par warna
main un charagh si aankhon mein jalne wala tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 47)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.