udhar jo shaKHs bhi aaya use jawab hua
udhar jo shaḳhs bhī aayā use javāb huā
koī nahīñ jo mohabbat meñ kāmyāb huā
vo ḳhush-nasīb haiñ jin ko ḳhudā kī zaat milī
hameñ ik aadmī mushkil se dastiyāb huā
bil-āḳhir aag dhuāñ ho ga.ī mohabbat kī
kisī ke saath jo dekhā thā ḳhvāb ḳhvāb huā
tumhāre sāmne kis ko majāl bolne kī
tumhāre sāmne har shaḳhs lā-javāb huā
hamāre sāmne bachche zabāñ-darāz hue
hamāre sāmne zarra bhī āftāb huā
mire asāsoñ meñ ḳhvāb aur hasrateñ niklīñ
'kabīr' ishq meñ merā bhī ehtisāb huā
'kabīr' ho ga.e barbād ham ko honā thā
tumheñ ye pūchhe koī tum ko kyā savāb huā
udhar jo shaKHs bhi aaya use jawab hua
koi nahin jo mohabbat mein kaamyab hua
wo KHush-nasib hain jin ko KHuda ki zat mili
hamein ek aadmi mushkil se dastiyab hua
bil-aKHir aag dhuan ho gai mohabbat ki
kisi ke sath jo dekha tha KHwab KHwab hua
tumhaare samne kis ko majal bolne ki
tumhaare samne har shaKHs la-jawab hua
hamare samne bachche zaban-daraaz hue
hamare samne zarra bhi aaftab hua
mere asason mein KHwab aur hasraten niklin
'kabir' ishq mein mera bhi ehtisab hua
'kabir' ho gae barbaad hum ko hona tha
tumhein ye puchhe koi tum ko kya sawab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.