Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udhar ruki hui hai raat jugnuon ka raqs hai

Pranav Mishra Tejas

udhar ruki hui hai raat jugnuon ka raqs hai

Pranav Mishra Tejas

MORE BYPranav Mishra Tejas

    udhar rukī huī hai raat jugnuoñ raqs hai

    idhar nadī ke husn par siyāhiyoñ raqs hai

    chhipī huī hai chāñdnī safed bādaloñ ke biich

    sukūt imāratoñ pe bijliyoñ raqs hai

    utartī tairtī nazar ye yād-e-yār safar

    isī ḳhalā ke darmiyān azdahoñ raqs hai

    jahāñ se ḳhatm ho rahī vahīñ se phir banī na.ī

    mirī ujaaḌ fikr meñ tabāhiyoñ raqs hai

    na.ī rutoñ mauj meñ purāne ġham dāstāñ

    so kuchh nayā nahīñ hai dost zāviyoñ raqs hai

    udhar ruki hui hai raat jugnuon ka raqs hai

    idhar nadi ke husn par siyahiyon ka raqs hai

    chhipi hui hai chandni safed baadalon ke bich

    sukut ki imaraton pe bijliyon ka raqs hai

    utarti tairti nazar ye yaad-e-yar ka safar

    isi KHala ke darmiyan azdahon ka raqs hai

    jahan se KHatm ho rahi wahin se phir bani nai

    meri ujaD fikr mein tabahiyon ka raqs hai

    nai ruton ki mauj mein purane gham ki dastan

    so kuchh naya nahin hai dost zawiyon ka raqs hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now