udhar saba ne KHabar di aa kar ki aaj abr-e-bahaar aaya
udhar saba ne KHabar di aa kar ki aaj abr-e-bahaar aaya
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
udhar sabā ne ḳhabar dī aa kar ki aaj abr-e-bahār aayā
idhar garebāñ siye hue maiñ chaman meñ dīvāna-vār aayā
duā hai apnī yahī shab-e-ġham na ho kabhī iztirāb-e-dil kam
ye zindagī zindagī kahāñ phir jo dil ko apne qarār aayā
gila sitam kā jafā kā shikva zabāñ pe aayā tumhīñ kaho kab
ye kyuuñ hai phir ham se sargirānī ye dil meñ kaise ġhubār aayā
sukūn ho kis tarah mayassar nasīb ho chain kaise āḳhir
na maut aa.ī marīz-e-ġham ko na vo shab-e-intizār aayā
na jaane kyuuñ josh-e-girya ab ke bajā.e ghaTne ke baḌh rahā hai
vagarna mahfil se yuuñ to terī maiñ bārhā ashk-bār aayā
udhar saba ne KHabar di aa kar ki aaj abr-e-bahaar aaya
idhar gareban siye hue main chaman mein diwana-war aaya
dua hai apni yahi shab-e-gham na ho kabhi iztirab-e-dil kam
ye zindagi zindagi kahan phir jo dil ko apne qarar aaya
gila sitam ka jafa ka shikwa zaban pe aaya tumhin kaho kab
ye kyun hai phir hum se sargirani ye dil mein kaise ghubar aaya
sukun ho kis tarah mayassar nasib ho chain kaise aaKHir
na maut aai mariz-e-gham ko na wo shab-e-intizar aaya
na jaane kyun josh-e-girya ab ke bajae ghaTne ke baDh raha hai
wagarna mahfil se yun to teri main barha ashk-bar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.