udhar wo hathon ke patthar badalte rahte hain
udhar vo hāthoñ ke patthar badalte rahte haiñ
idhar bhī ahl-e-junūñ sar badalte rahte haiñ
badalte rahte haiñ poshāk dushman-e-jānī
magar jo dost haiñ paikar badalte rahte haiñ
ham ek baar jo badle to aap ruuTh ga.e
magar janāb to aksar badalte rahte haiñ
ye dabdaba ye hukūmat ye nashsha-e-daulat
kirāya-dār haiñ sab ghar badalte rahte haiñ
udhar wo hathon ke patthar badalte rahte hain
idhar bhi ahl-e-junun sar badalte rahte hain
badalte rahte hain poshak dushman-e-jaani
magar jo dost hain paikar badalte rahte hain
hum ek bar jo badle to aap ruTh gae
magar janab to aksar badalte rahte hain
ye dabdaba ye hukumat ye nashsha-e-daulat
kiraya-dar hain sab ghar badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.