uDi uDi chehre ki rangat aankhon mein hairani hai
uḌī uḌī chehre kī rangat āñkhoñ meñ hairānī hai
harf harf in unvānoñ meñ dil kī rām-kahānī hai
chham-chham barse bahtā jaa.e ye bhī batāo aisā kyoñ
āñkhoñ se jo chhalak rahā hai tum kahte ho paanī hai
soch vahī sankoch meñ gum-sum aas vahī mauhūm ufuq
anhonī ke rang ugaltī ye kis kī man-mānī hai
bhiiḌ bhañvar hai pahchānoñ kā duniyā ke is rele meñ
har chehra hai ukhḌā ukhḌā har sūrat anjānī hai
husn ke paikar Dhale hue haiñ 'rāhī' kis pairā.e meñ
dekho to tahzīb kī chādar socho to uryānī hai
uDi uDi chehre ki rangat aankhon mein hairani hai
harf harf in unwanon mein dil ki ram-kahani hai
chham-chham barse bahta jae ye bhi batao aisa kyon
aankhon se jo chhalak raha hai tum kahte ho pani hai
soch wahi sankoch mein gum-sum aas wahi mauhum ufuq
anhoni ke rang ugalti ye kis ki man-mani hai
bhiD bhanwar hai pahchanon ka duniya ke is rele mein
har chehra hai ukhDa ukhDa har surat anjaani hai
husn ke paikar Dhale hue hain 'rahi' kis pairae mein
dekho to tahzib ki chadar socho to uryani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.