uDne ki koi achchhi saza dijiye hamein
uḌne kī koī achchhī sazā dījiye hameñ
behtar ye hai ki aap girā dījiye hameñ
jitnī bhī tohmateñ haiñ lagā dījiye hameñ
kuchh to mohabbatoñ kā sila dījiye hameñ
pahle samundaroñ meñ Dubā dījiye hameñ
phir sāhiloñ se ḳhuub sadā dījiye hameñ
ham log sīratoñ ke haiñ qaa.il so aap bhī
ik baar aazmā ke gañvā dījiye hameñ
jaise ki bhuul jaate haiñ 'ahd-e-vafā ko aap
us hī adā se aaj bhulā dījiye hameñ
uDne ki koi achchhi saza dijiye hamein
behtar ye hai ki aap gira dijiye hamein
jitni bhi tohmaten hain laga dijiye hamein
kuchh to mohabbaton ka sila dijiye hamein
pahle samundaron mein Duba dijiye hamein
phir sahilon se KHub sada dijiye hamein
hum log siraton ke hain qail so aap bhi
ek bar aazma ke ganwa dijiye hamein
jaise ki bhul jate hain 'ahd-e-wafa ko aap
us hi ada se aaj bhula dijiye hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.