uDne ki zid to chhoD hawa ki hawas nahin
uḌne kī zid to chhoḌ havā kī havas nahīñ
ham do parinde umr se ahl-e-qafas nahīñ
tere badan ke taab se hai darmiyāñ umas
lekin tujhe judā karūñ aisī umas nahīñ
ham lā-makāñ haiñ kyā jo tire dar pe haiñ khaḌe
aur is qadar azaab meñ bhī Tas se mas nahīñ
aisī siyāh raat ke nīñdoñ se ḳhauf ho
aisā safed ḳhvāb ke āñkhoñ pe bas nahīñ
bāñhoñ meñ dekhtā huuñ tirī maiñ mirā maqām
lekin mirā maqām tirī dastaras nahīñ
ai merī shā.irī ke hunar mujh ko yuuñ na maar
ai āstīñ ke saañp mujhe aur Das nahīñ
so is hisāb se bhī huā saal bhar kā hijr
kahtā hai aa.egā vo mirā is baras nahīñ
uDne ki zid to chhoD hawa ki hawas nahin
hum do parinde umr se ahl-e-qafas nahin
tere badan ke tab se hai darmiyan umas
lekin tujhe juda karun aisi umas nahin
hum la-makan hain kya jo tere dar pe hain khaDe
aur is qadar azab mein bhi Tas se mas nahin
aisi siyah raat ke nindon se KHauf ho
aisa safed KHwab ke aankhon pe bas nahin
banhon mein dekhta hun teri main mera maqam
lekin mera maqam teri dastaras nahin
ai meri shairi ke hunar mujh ko yun na mar
ai aastin ke sanp mujhe aur Das nahin
so is hisab se bhi hua sal bhar ka hijr
kahta hai aaega wo mera is baras nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.