Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uDta hua ek baadal tha

Shahid Aziz

uDta hua ek baadal tha

Shahid Aziz

MORE BYShahid Aziz

    uḌtā huā ik bādal thā

    phir terā āñchal thā

    chīḳh rahā thā saḌkoñ par

    shāyad vo bhī pāgal thā

    ab to ganda naalā huuñ

    pahle meñ gañgā-jal thā

    ābādī se duur bahut

    harā-bharā ik jañgal thā

    mere jism ke andar

    shāyad merā qātil thā

    uDta hua ek baadal tha

    ya phir tera aanchal tha

    chiKH raha tha saDkon par

    shayad wo bhi pagal tha

    ab to ganda nala hun

    pahle mein ganga-jal tha

    aabaadi se dur bahut

    hara-bhara ek jangal tha

    mere jism ke andar hi

    shayad mera qatil tha

    Source :
    • Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 442)
    • Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
    • Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
    • Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now