uDte gulon ke sae mein baiThen jo shadman
uḌte guloñ ke saa.e meñ baiTheñ jo shādmāñ
sukh-chain apnī ḳhaak ke pahlū meñ hai kahāñ
roġhan ujāltā hai guloñ kā nafas ke taar
sāñsoñ meñ Doltī haiñ charāġhoñ kī narmiyāñ
paañv kī raah bah gayā dil ko muhīt jhaag
kin ābī-nargisoñ ke khule sar pe bādbāñ
āñkhoñ ke ābgīnoñ meñ hai kesarī bahār
chehre ke ma.adanoñ meñ ḳhizāoñ kī zardiyāñ
phislan ke pattharoñ se lagī jhūltī raheñ
bādal chhaTā to uḌ ga.iiñ sāvan kī bastiyāñ
bansāriyoñ meñ bansarī baajī ghaTāoñ kī
af.ī havā meñ khil uThe khol apnī chhatriyāñ
uDte gulon ke sae mein baiThen jo shadman
sukh-chain apni KHak ke pahlu mein hai kahan
roghan ujalta hai gulon ka nafas ke tar
sanson mein Dolti hain charaghon ki narmiyan
panw ki rah bah gaya dil ko muhit jhag
kin aabi-nargison ke khule sar pe baadban
aankhon ke aabginon mein hai kesari bahaar
chehre ke madanon mein KHizaon ki zardiyan
phislan ke pattharon se lagi jhulti rahen
baadal chhaTa to uD gain sawan ki bastiyan
bansariyon mein bansari baji ghaTaon ki
afi hawa mein khil uThe khol apni chhatriyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.