uDte hue parindon ke shah-par sameT lun
uḌte hue parindoñ ke shah-par sameT luuñ
jī chāhtā hai shaam ke manzar sameT luuñ
lab par ugā.ūñ us ke dhanak phuul qahqahe
āñkhoñ meñ us kī phailā samundar sameT luuñ
pahle milan kā phuul khile ruuh meñ tirī
bāhoñ meñ tujh ko le ke tire Dar sameT luuñ
mumkin nahīñ hai phir bhī maiñ ye chāhtā huuñ kyuuñ
aḳhbār par sulagte hue ghar sameT luuñ
chādar duuñ apne 'ahd kī zainab ko aur baḌhūñ
nezoñ pe jo saje haiñ sabhī sar sameT luuñ
uDte hue parindon ke shah-par sameT lun
ji chahta hai sham ke manzar sameT lun
lab par ugaun us ke dhanak phul qahqahe
aankhon mein us ki phaila samundar sameT lun
pahle milan ka phul khile ruh mein teri
bahon mein tujh ko le ke tere Dar sameT lun
mumkin nahin hai phir bhi main ye chahta hun kyun
aKHbar par sulagte hue ghar sameT lun
chadar dun apne 'ahd ki zainab ko aur baDhun
nezon pe jo saje hain sabhi sar sameT lun
- Book : Aadhi Raat Ki Shabnam (Pg. 72)
- Author : Marghoob Ali
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.