uDte panchhi mar girane hote hain
uḌte panchhī maar girāne hote haiñ
zālim ne to zulm kamāne hote haiñ
ik chhat ke nīche rahne vāloñ meñ bhī
haa.il kitne yaar zamāne hote haiñ
tum phūloñ ke byopārī ho kyā jaano
phūloñ ne āñgan mahkāne hote haiñ
un ke naam liye jaatā huuñ sub.h-o-shām
maiñ ne jin ke naam bhulāne hote haiñ
dekh ke jin ko Dar jaa.e vīrāna bhī
ābādī meñ vo vīrāne hote haiñ
bhuuk iflās ke bojh tale jo dab jaa.e
us ne kis ke naaz uThāne hote haiñ
maiñ ne terā naam sunā maḳhmūr huā
maiñ kyā jānūñ kyā maiḳhāne hote haiñ
jin ko apnā naam nahīñ hai yaad 'ḳhizar'
un ko mere yaad fasāne hote haiñ
uDte panchhi mar girane hote hain
zalim ne to zulm kamane hote hain
ek chhat ke niche rahne walon mein bhi
hail kitne yar zamane hote hain
tum phulon ke byopari ho kya jaano
phulon ne aangan mahkane hote hain
un ke nam liye jata hun subh-o-sham
main ne jin ke nam bhulane hote hain
dekh ke jin ko Dar jae virana bhi
aabaadi mein wo virane hote hain
bhuk iflas ke bojh tale jo dab jae
us ne kis ke naz uThane hote hain
main ne tera nam suna maKHmur hua
main kya jaanun kya maiKHane hote hain
jin ko apna nam nahin hai yaad 'KHizar'
un ko mere yaad fasane hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.