uDti KHushbu hun na baadal ki rawani jaanan
uḌtī ḳhushbū huuñ na bādal kī ravānī jānāñ
muḳhtalif hai mirī duniyā se kahānī jānāñ
tujh se mansūb huā huuñ to huuñ nāzāñ ḳhud par
ki mayassar huī gul-rang kahānī jānāñ
maiñ savālī huuñ tire husn kī ra.anā.ī kā
ho atā mujh ko bhī kuchh apnī nishānī jānāñ
vaqt ke bikhre ḳharāboñ ke inhīñ Dheroñ par
DhūñDhne niklā huuñ gum-gashta javānī jānāñ
maiñ ne har moḌ pe samjhāyā tujhe kī talqīn
par mirī baat na tū ne kabhī maanī jānāñ
uDti KHushbu hun na baadal ki rawani jaanan
muKHtalif hai meri duniya se kahani jaanan
tujh se mansub hua hun to hun nazan KHud par
ki mayassar hui gul-rang kahani jaanan
main sawali hun tere husn ki ranai ka
ho ata mujh ko bhi kuchh apni nishani jaanan
waqt ke bikhre KHarabon ke inhin Dheron par
DhunDhne nikla hun gum-gashta jawani jaanan
main ne har moD pe samjhaya tujhe ki talqin
par meri baat na tu ne kabhi mani jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.