uDti rahti thi sada KHitta-e-viran mein KHak
uḌtī rahtī thī sadā ḳhitta-e-vīrān meñ ḳhaak
aa ga.ī chupke se ab ke mire dālān meñ ḳhaak
mutma.in thā maiñ ki āñdhī ko thame arsa huā
ġhaur se dekhā to qābiz thī dil-o-jān meñ ḳhaak
ḳhvāhisheñ chaak pe rakkhī haiñ ki sūrat ubhre
gard ke saath milī hai mire armān meñ ḳhaak
jis ko bhī dekho vo bad-hāl nazar aatā hai
ab to dāḳhil huī insān ke īmān meñ ḳhaak
bhāgtī-dauḌtī duniyā meñ kise fursat hai
jamtī jaatī hai yahāñ miir ke dīvān meñ ḳhaak
jaane kyā guzregā ab qais pe allāh jaane
ret sahrā meñ nahīñ aur na bayābān meñ ḳhaak
uDti rahti thi sada KHitta-e-viran mein KHak
aa gai chupke se ab ke mere dalan mein KHak
mutmain tha main ki aandhi ko thame arsa hua
ghaur se dekha to qabiz thi dil-o-jaan mein KHak
KHwahishen chaak pe rakkhi hain ki surat ubhre
gard ke sath mili hai mere arman mein KHak
jis ko bhi dekho wo bad-haal nazar aata hai
ab to daKHil hui insan ke iman mein KHak
bhagti-dauDti duniya mein kise fursat hai
jamti jati hai yahan mir ke diwan mein KHak
jaane kya guzrega ab qais pe allah jaane
ret sahra mein nahin aur na bayaban mein KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.