uf adaen dikha rahi hain wo
uf adā.eñ dikhā rahī haiñ vo
muskurā kar satā rahī haiñ vo
ham faqīro kī apne kūche meñ
ek mahfil sajā rahī haiñ vo
kab se nazreñ bachā.e baiThe haiñ
ye ḳhabar hai ki aa rahī haiñ vo
hai gahan chāñd ko lagā dekhā
ruḳh se parda uThā rahī haiñ vo
saare aalam meñ phailī bechainī
zulf bikhrā.e jā rahī haiñ vo
zulf māthe pe badliyāñ jaise
abr sī bantī jā rahī haiñ vo
ham asīr-e-nigāh-e-nāz hue
kaahe āñkheñ milā rahī haiñ vo
tirchhī nazroñ se mere shāne par
zaḳhm-e-kārī lagā rahī haiñ vo
merā sabr-o-qarār chhīn liyā
kyā sitam hai ki Dhā rahī haiñ vo
sar ko apne 'farāz' ḳham kar deñ
sajda-e-rab meñ jā rahī haiñ vo
uf adaen dikha rahi hain wo
muskura kar sata rahi hain wo
hum faqiro ki apne kuche mein
ek mahfil saja rahi hain wo
kab se nazren bachae baiThe hain
ye KHabar hai ki aa rahi hain wo
hai gahan chand ko laga dekha
ruKH se parda uTha rahi hain wo
sare aalam mein phaili bechaini
zulf bikhrae ja rahi hain wo
zulf mathe pe badliyan jaise
abr si banti ja rahi hain wo
hum asir-e-nigah-e-naz hue
kahe aankhen mila rahi hain wo
tirchhi nazron se mere shane par
zaKHm-e-kari laga rahi hain wo
mera sabr-o-qarar chhin liya
kya sitam hai ki Dha rahi hain wo
sar ko apne 'faraaz' KHam kar den
sajda-e-rab mein ja rahi hain wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.