uf meri zindagi ki raat uf meri zindagi ke din
uf mirī zindagī kī raat uf mirī zindagī ke din
aisī na hai kisī kī raat aise na haiñ kisī ke din
ruḳh pe hai surḳhī-e-hayā rañg-e-nigāh-e-surmagīñ
jān-e-bahār ban ga.e husn kī sādgī ke din
zindagī umīd-vār ek adā itaab kī
aañkh meñ kaT ga.ī thī raat haa.e vo barhamī ke din
paañv baḌhā ke chal diyā aur maiñ dekhtā rahā
aah shabāb-e-be-ḳhatar haa.e hañsī ḳhushī ke din
'kaifī'-e-be-qarār ab dil se banegī kis tarah
hosh kī baat rah ga.ī kaT ga.e be-ḳhudī ke din
uf meri zindagi ki raat uf meri zindagi ke din
aisi na hai kisi ki raat aise na hain kisi ke din
ruKH pe hai surKHi-e-haya rang-e-nigah-e-surmagin
jaan-e-bahaar ban gae husn ki sadgi ke din
zindagi umid-war ek ada itab ki
aankh mein kaT gai thi raat hae wo barhami ke din
panw baDha ke chal diya aur main dekhta raha
aah shabab-e-be-KHatar hae hansi KHushi ke din
'kaifi'-e-be-qarar ab dil se banegi kis tarah
hosh ki baat rah gai kaT gae be-KHudi ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.