uf ye bhi koi hile bahane ka waqt hai
uf ye bhī koī hiile bahāne kā vaqt hai
hai roz-e-‘īd milne milāne kā vaqt hai
chhoḌo ye marsiya ki tarāne kā vaqt hai
ye vaqt un ke bazm meñ aane kā vaqt hai
hālāt kah rahe haiñ yahī ham se baar baar
kāñToñ ke biich phuul khilāne kā vaqt hai
kyā ḳhuub hai ki barkat-o-zīnat-fishānī kā
hai vo hī vaqt un ke jo aane kā vaqt hai
kyūñkar juTā rahe ho agar zindagī hai ḳhaak
rāh-e-vafā meñ is ko uḌāne kā vaqt hai
utnā hī muskurāo baḌhe jis qadar hī dard
ye vaqt tāb-e-zabt dikhāne kā vaqt hai
tum ko to karnā aa gayā āñkhoñ se guftugū
mat socho ye hī dil ke lagāne kā vaqt hai
ai ḳhvāhisho ḳhudā kī 'atā ke tufail meñ
ab tum ko uñgliyoñ pe nachāne kā vaqt hai
uf ye bhi koi hile bahane ka waqt hai
hai roz-e-‘id milne milane ka waqt hai
chhoDo ye marsiya ki tarane ka waqt hai
ye waqt un ke bazm mein aane ka waqt hai
haalat kah rahe hain yahi hum se bar bar
kanTon ke bich phul khilane ka waqt hai
kya KHub hai ki barkat-o-zinat-fishani ka
hai wo hi waqt un ke jo aane ka waqt hai
kyunkar juTa rahe ho agar zindagi hai KHak
rah-e-wafa mein is ko uDane ka waqt hai
utna hi muskurao baDhe jis qadar hi dard
ye waqt tab-e-zabt dikhane ka waqt hai
tum ko to karna aa gaya aankhon se guftugu
mat socho ye hi dil ke lagane ka waqt hai
ai KHwahisho KHuda ki 'ata ke tufail mein
ab tum ko ungliyon pe nachane ka waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.