ufaq ko takti hain muddat se be-shumar aankhen
ufaq ko takti hain muddat se be-shumar aankhen
Preyas Hathi 'Raqim
MORE BYPreyas Hathi 'Raqim
ufaq ko taktī haiñ muddat se be-shumār āñkheñ
sahar kā ḳhvāb liye sab umīd-vār āñkheñ
maiñ jāntā huuñ ki hargiz na aa.egā ab vo
nibhā.e jaatī haiñ par farz-e-intizār āñkheñ
vo dekh paa.e zamāne ko merī nazroñ se
use ai kaash mirī de sakūñ udhār āñkheñ
mujhe dilātī haiñ jañgal meñ hone kā ehsās
ye shahr vāloñ kī ayyār-o-hoshiyār āñkheñ
bichhaḌte vaqt vo royā to thā magar 'rāqim'
masarratoñ meñ bhī hotī haiñ ashk-bār āñkheñ
ufaq ko takti hain muddat se be-shumar aankhen
sahar ka KHwab liye sab umid-war aankhen
main jaanta hun ki hargiz na aaega ab wo
nibhae jati hain par farz-e-intizar aankhen
wo dekh pae zamane ko meri nazron se
use ai kash meri de sakun udhaar aankhen
mujhe dilati hain jangal mein hone ka ehsas
ye shahr walon ki ayyar-o-hoshiyar aankhen
bichhaDte waqt wo roya to tha magar 'raqim'
masarraton mein bhi hoti hain ashk-bar aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.