ufuq ke par utar jaun main irada hai
ufuq ke paar utar jā.ūñ maiñ irāda hai
magar ye umr hai kam aur safar ziyāda hai
talab ke phuul bichhā duuñ maiñ us ke raste meñ
vo ek shaḳhs jo sahrā meñ pā-piyāda hai
kisī kā naam na tahrīr aur na naqsh koī
varaq kitāb-e-tamannā kā kitnā saada hai
ḳhud apne faisle karne haiñ zindagī meñ mujhe
maiñ zindagī se na pūchhūñgī kyā irāda hai
nahīñ hai 'shāhida' kuchh fikr apne ġham kī mujhe
mujhe to dūsre logoñ kā dukh ziyāda hai
ufuq ke par utar jaun main irada hai
magar ye umr hai kam aur safar ziyaada hai
talab ke phul bichha dun main us ke raste mein
wo ek shaKHs jo sahra mein pa-piyaada hai
kisi ka nam na tahrir aur na naqsh koi
waraq kitab-e-tamanna ka kitna sada hai
KHud apne faisle karne hain zindagi mein mujhe
main zindagi se na puchhungi kya irada hai
nahin hai 'shahida' kuchh fikr apne gham ki mujhe
mujhe to dusre logon ka dukh ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.