ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad
ufuq ke us paar kar rahā hai koī mirā intizār shāyad
usī kī jānib chalī hai shaam o sahar kī ye rahguzār shāyad
qafas meñ dūr-o-darāz se bhīnī bhīnī ḳhushbū sī aa rahī hai
chaman chaman ham ko DhūñDtī hogī mauj-e-fasl-e-bahār shāyad
hazār baar aazmā chukā hai magar abhī aazmā rahā hai
abhī zamāne ko aadmī kā nahīñ hai kuchh e'tibār shāyad
na shab ke gesū sañvar sake aur na din ke ruḳh par nikhār aayā
azal se mashshātgī kā har mudda.ī hai nā-puḳhta-kār shāyad
jo har nazar ko bhigo ga.ī hai jo har nafas ko Dubo ga.ī hai
vahī taġhayyur kī mauj ik din banegī vaj.h-e-qarār shāyad
vahī hai andāz-e-be-niyāzī vahī hai raftār-e-be-shu.ūrī
abhī tak ā.ankhoñ meñ maujzan hai ga.e dinoñ kā ḳhumār shāyad
na jaane hadd-e-nazar se Takrā ke kyuuñ tamannā.ī lauT aa.e
hudūd-e-arz-o-samāñ ke aage khiñchā huā hai hisār shāyad
ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad
usi ki jaanib chali hai sham o sahar ki ye rahguzar shayad
qafas mein dur-o-daraaz se bhini bhini KHushbu si aa rahi hai
chaman chaman hum ko DhunDti hogi mauj-e-fasl-e-bahaar shayad
hazar bar aazma chuka hai magar abhi aazma raha hai
abhi zamane ko aadmi ka nahin hai kuchh e'tibar shayad
na shab ke gesu sanwar sake aur na din ke ruKH par nikhaar aaya
azal se mashshatgi ka har muddai hai na-puKHta-kar shayad
jo har nazar ko bhigo gai hai jo har nafas ko Dubo gai hai
wahi taghayyur ki mauj ek din banegi wajh-e-qarar shayad
wahi hai andaz-e-be-niyazi wahi hai raftar-e-be-shuuri
abhi tak aaankhon mein maujzan hai gae dinon ka KHumar shayad
na jaane hadd-e-nazar se Takra ke kyun tamannai lauT aae
hudud-e-arz-o-saman ke aage khincha hua hai hisar shayad
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 105)
- Author : Azeez Tamannai
- Publication : Modern Publishing House, New Delhi (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.