ufuq ko surKH kiya aasman zard kiya
ufuq ko surḳh kiyā āsmān zard kiyā
bahā.e ashk to sūraj Dubo ke sard kiyā
sināñ kī nok pe lā kar rakhe mah-o-mirrīḳh
phir us ke baa'd sitāroñ ko gard gard kiyā
jo ruḳh badal ke parī-zād ne paḌhā mantar
palak jhapakte meñ ik sabz baaġh zard kiyā
tilism-e-qulzum-o-asvad ko toḌ kar us ne
paḌāo apnā sar-e-koh-e-lāj-vard kiyā
bas ek jast zamīnī jihāt toḌ ga.ī
aur ik qadam ne use āsmāñ-navard kiyā
'ajab ghaḌī thī ki jamne lagā ragoñ meñ lahū
jo be-dilī ne hameñ teġh-e-be-nabard kiyā
ufuq ko surKH kiya aasman zard kiya
bahae ashk to suraj Dubo ke sard kiya
sinan ki nok pe la kar rakhe mah-o-mirriKH
phir us ke ba'd sitaron ko gard gard kiya
jo ruKH badal ke pari-zad ne paDha mantar
palak jhapakte mein ek sabz bagh zard kiya
tilism-e-qulzum-o-aswad ko toD kar us ne
paDao apna sar-e-koh-e-laj-ward kiya
bas ek jast zamini jihat toD gai
aur ek qadam ne use aasman-naward kiya
'ajab ghaDi thi ki jamne laga ragon mein lahu
jo be-dili ne hamein tegh-e-be-nabard kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.