ufuq par kaisa baadal chha raha hai
ufuq par kaisā bādal chhā rahā hai
añdherā raushnī ko khā rahā hai
talāsh-e-sāya meñ phir aao nikleñ
tanāvar peḌ kaaTā jā rahā hai
ye mauzū-e-suḳhan Thahrā hai goyā
gharoñ ko kaun kyūñkar Dhā rahā hai
hadīs-e-mausam-e-gul kyā vo samjheñ
jinheñ ḳhūñ-rañg manzar bhā rahā hai
dil-e-shā.ir dil-e-dīvāna Thahrā
hujūm-e-shauq meñ ghabrā rahā hai
baras jaa.e to dukh kī gird baiThe
jo TukḌā abr kā mañDlā rahā hai
ufuq par kaisa baadal chha raha hai
andhera raushni ko kha raha hai
talash-e-saya mein phir aao niklen
tanawar peD kaTa ja raha hai
ye mauzu-e-suKHan Thahra hai goya
gharon ko kaun kyunkar Dha raha hai
hadis-e-mausam-e-gul kya wo samjhen
jinhen KHun-rang manzar bha raha hai
dil-e-shair dil-e-diwana Thahra
hujum-e-shauq mein ghabra raha hai
baras jae to dukh ki gird baiThe
jo TukDa abr ka manDla raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.