ufuq par nae rang Dale gae
ufuq par na.e rang Daale ga.e
lo ham DhūñD kar phir nikāle ga.e
tirā phuul koī na aaya magar
bahut ham pe patthar uchhāle ga.e
vo tūfān meñ terī nannhī sī yaad
ḳhudā kī qasam ham bachā le ga.e
baḌe shauq se tere ḳhvāb aa.e the
mire dard kā silsila le ga.e
ghaTā dhuup mausam havā chāñdnī
khilaunoñ pe tā-umr Taale ga.e
jahāñ apnī thoḌī sī pahchān thī
usī shahr se ham nikāle ga.e
sazā dene aa.e the 'shāhid' magar
ajiib aadmī the duā le ga.e
ufuq par nae rang Dale gae
lo hum DhunD kar phir nikale gae
tera phul koi na aaya magar
bahut hum pe patthar uchhaale gae
wo tufan mein teri nannhi si yaad
KHuda ki qasam hum bacha le gae
baDe shauq se tere KHwab aae the
mere dard ka silsila le gae
ghaTa dhup mausam hawa chandni
khilaunon pe ta-umr Tale gae
jahan apni thoDi si pahchan thi
usi shahr se hum nikale gae
saza dene aae the 'shahid' magar
ajib aadmi the dua le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.